Humne dekhi hai

Humne dekhi hai
Un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke
Isse rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam na do

Humne dekhi hai
Un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke
Isse rishton ka ilzaam na do
Humne dekhi hai

Pyaar koi bol nahin
Pyaar awaaz nahin
Ek khamoshi hai
Sunti hain kaha karti hai
Na ye bujhti hai
Na rukti hai na tehri hai kahin
Noor ki boond hai
Sadiyon se baha karti hai

Sirf ehsaas hai ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam na do

Humne dekhi hai
Un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke
Isse rishton ka ilzaam na do
Humne dekhi hai

Muskurahat si khili rehti hai
Aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujjale se
Jhuke rehte hain
Honth kuch kehte nahin
Kaapte honthon pe magar
Kitne khamosh se
Afsaane ruke rehte hain

Sirf ehsaas hain ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam na do

Humne dekhi hai
Un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke
Isse rishton ka ilzaam na do
Humne dekhi hai


Movie: Khamoshi (1969)

Director: Asit Sen

Singer: Lata Mangeshkar

Lyricist: Gulzar

Music Composer: Hemant Kumar


This is a departure from previous posts inspired by the birthdays of celebrities in the Bollywood music industry. Instead, this is from my perennial favourites list. It is a song I listen to as often as I can. Although it has some bittersweet memories that are recalled every time I hear this, I cannot help but listen to it. I think I can trace the beginning of my fan-relationship with Gulzar to this track. I find that saying anything more about the song trivialises it, because I am no wordsmith like Gulzar and will only fumble as I try to explain why I cherish this song. So, enjoy! ~ R

Comments